Tuesday, March 20, 2018

Jashn shayeri

Apni kismat azma kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x3
(Khud munafiq ka pata chal jayega)x2
Nara-e haider laga kar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Ho agar jannat zami(n) par dekhni)x2
Karbala ek baar jaakar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Ambiya ko dekhna chaho agar)x2
Halqaye matam me akar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Tum ko Zehra ki dua miljayegi)x2
Parcham-e- ghazi uthaa kar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Woh to phir maula Ali hai hashr mei)x2
Martaba Qambar ka aakar dekhana
Tum azaa khaana saja kar dekhana
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Chand-e- taare dekhna chaho agar x2)
daagh matam ke sajaakar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2
(Khushbu e rumal zahra chahiye x2)
ashk majlis me bahakar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhana,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhana)x2
(Panjatan mehman khud honge zaki)x2
Farsh majlis ka bichakar dekhna
Tum azaa khaana saja kar dekhna
(Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna)x2