Sunday, March 2, 2025

Jo bayaan karne laga hoon dosto

  Jo bayaan karne laga hoon dosto

Aaj ka mera bayaan Hussain hai (x2)


Jo Khuda hai mehrbaan Jahaan ka

Uss Khuda mehrbaan Hussain hai


Yeh do mehman aise hai 

Bada rutba hai dono ka

Nabi arshe moalla par 

Khuda kar woh bala pahooncha 

Mustafa ka mezbaan tha kibriya 

Kibriya ka mezbaan Hussain hai


Jo bayaan karne laga hoon dosto 


Ali ka laal jo kehta hai woh tum baat likh daalo 

Isse ek bhi na dena tha magar ab saath likh daalo 

Ab talak iski hamari baat thi

Haan magar ab darmiyaan Hussain hai


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan 


Namaaz e ishq padte hai baraf baari ho sardi ho,

Yeh maatam khul ke karte hai bhale kitni bhi garmi ho,

Maatami par mausamo ka kya aser 

Maatami ka sahebaan Hussain hai. 


Yehi ehsaan hai hum par Ali ke laadle bĂȘte

Mili humko azadaari dua e Saniye Zehra 

Ab toh kaaba Mehdi e tora talak 

Bas humara Baadshah Hussain hai. 


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan Hussain hai


Diya hai baalo par sheh ney, 

tha main laa chaar barso se

Kaha uth kar yeh fitrus ne, 

takabbur mein farishto sey

Bas takabbur us ko zaib deta hai, 

Hota jispe meharbaan Hussain hai 


Kaha Hurr ney Hussain ibne Ali key paas aakar yeh

Meri khismat badal deejiye Ali Asghar key sadqe mein

Khismaton ka jo badalne wala hai.. woh Imam e do jahan Hussain hai M


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan Hussain hai

Zameen O Asmaan

 Zameen o asmaan 

Yeh de te hai sada

Sabhi ka aasra mera Hussain hai


Khudaai ka Hasham

Rasool o ka bharam

Har ek nabi ki inteha Hussain hai


Zameen o asmaan 

Yeh de te hai sada

Sabhi ka aasra mera Hussain hai


Aayi sada yaa Mohammed 

Sajde ko dijiye tawalath

Khush ho pisar Fatima ka

Haan bas yehi hai ibaadat 


Woh haq ka raaz hai

Wohi namaaz hai

Namaazon ki baqa mera Hussain hai 


Fitrus hai Kya kya hai raahib 

Sheh hai ataa ka samundar 

Saara nizam e masheeyat

Uske karam ka hai paikar 


Woh jab nawaz de

Toh be-neyaaz de

Muqaddaron ka qibriya Hussain hai


Zameen o asmaan 

Yeh de te hai sada

Sabhi ka aasra mera Hussain hai


Toofaannnn aaye hazaron

Gham shaahe deen ka na badla 

Jitna daba gaya hai

Maatam yeh utna hi ubhraaaaa


Zamaane se bhala 

humein ho khauff kya

Likha huwa Jo dil pe Ya Hussain hai


Zameen o asmaan 

Yeh de te hai sada

Sabhi ka aasra mera Hussain hai


Kehta hai mujhse mukhassir

Bakshish ki bhi fikr karlo 

Barzakh main hogi museebat 

Turbat ki tanhai soncho 


Farishte aayengey 

Tumhe daraayengey

Toh has ke maine keh diya Hussain hain


Zameen o asmaan 

Yeh de te hai sada

Sabhi ka aasra mera Hussain hai


Aamad hai shaahe huda ki

Roshan hai saara zamana 

Shadaa nabi hai Jo aaye

Godi main haq ka qazana 


Hai khush shaahe najaf 

Saja baituz sharaf 

Sukoon e qalb e Fatima Hussain hai.