Bharde jholi meri meri aye ghazi
Lot kr me na jaongi khali
Bibi Zainab ka sadqa ata kr
Tu Sakina ka sadqa ata kr
Banke ayi hun dar pr sawali
Ranjo gham me ghiri hun me mola
Koi apna nhi he sahara
Krde nazre karam ki inayat
Mene dar se tere lo lagali
Shere khuda ka sher bara bemisaal he
Allah ki ataon se jo bakamal he
Zehra k noore ain k jo dil ka chen he
Mola Ali ka ask he jo zebo zain he
Mera mola wafa ka khuda he uski jageer karbobala hai
Apne dar ki zyarat karade choomlun tere roze ki jali
Zindagi karbala tu banade meri
Bandagi karbala tu banade meri
Khwab he karbala mera esa
Jagte me bhi jisko he dekha
Mughko marqad mile Karbala me
Tere dar se Dua mene mangi
Shane aqdas teri he nirali
Badshah tere dar k sawali
Ibne mushkil kusha tu hai ghazi
Mushkilen sabki tune hen tali
Tere dar pe farishton k sar hen jhuke
Tere mangte jahan k sakhi bangye
Tere jesa sakhi mere mola sare alam me humne na dekha
Hoke bedast tune aey ghazi mugh nikami ki bigri banadi
Kitni gunahgar hun sab he khabar tughe
Kitni siyaha kar hun sab he khabar tughe
Okat meri kuch bhi nhi he mere sakhi
Tune hi mola meri ye qismat sanwar di
Is Falak ko aey bete Ali k tune sach much Falak krdya he
Ye bhi teri ata ka sila hai zikre Haider zuban pe he jari
No comments:
Post a Comment