Zameen o asmaan
Yeh de te hai sada
Sabhi ka aasra mera Hussain hai
Khudaai ka Hasham
Rasool o ka bharam
Har ek nabi ki inteha Hussain hai
Zameen o asmaan
Yeh de te hai sada
Sabhi ka aasra mera Hussain hai
Aayi sada yaa Mohammed
Sajde ko dijiye tawalath
Khush ho pisar Fatima ka
Haan bas yehi hai ibaadat
Woh haq ka raaz hai
Wohi namaaz hai
Namaazon ki baqa mera Hussain hai
Fitrus hai Kya kya hai raahib
Sheh hai ataa ka samundar
Saara nizam e masheeyat
Uske karam ka hai paikar
Woh jab nawaz de
Toh be-neyaaz de
Muqaddaron ka qibriya Hussain hai
Zameen o asmaan
Yeh de te hai sada
Sabhi ka aasra mera Hussain hai
Toofaannnn aaye hazaron
Gham shaahe deen ka na badla
Jitna daba gaya hai
Maatam yeh utna hi ubhraaaaa
Zamaane se bhala
humein ho khauff kya
Likha huwa Jo dil pe Ya Hussain hai
Zameen o asmaan
Yeh de te hai sada
Sabhi ka aasra mera Hussain hai
Kehta hai mujhse mukhassir
Bakshish ki bhi fikr karlo
Barzakh main hogi museebat
Turbat ki tanhai soncho
Farishte aayengey
Tumhe daraayengey
Toh has ke maine keh diya Hussain hain
Zameen o asmaan
Yeh de te hai sada
Sabhi ka aasra mera Hussain hai
Aamad hai shaahe huda ki
Roshan hai saara zamana
Shadaa nabi hai Jo aaye
Godi main haq ka qazana
Hai khush shaahe najaf
Saja baituz sharaf
Sukoon e qalb e Fatima Hussain hai.
No comments:
Post a Comment