Friday, March 4, 2022

Ba e bismillah ali hai ba khuda Mamba e sharmo haya hai fatima

 Fatima zehra ki aala shaan hai

Zauja e haider, nabi ki jaan hai

 

Ba e bismillah ali hai ba khuda

Mamba e sharmo haya hai fatima

 

Awliya ka baadshah hai murtuza

Dahr me khairun nisa hai fatima

 

Ba e bismillah....

 

Ye ummul aaimma hai,

Maalika arzo samaa ki hai

Jo marzi fatima ki hai

Wohi marzi khuda ki hai

Mustafa be izn ghar aate nahi

Sajdagah e ambiya hai fatima

 

Ba e bismillah...

 

Hai baba paak zehra ke

Hai do bete bhi zehra ke

Wo shauhar fatima ka hai

Jo is chadar ke hai niche

Arsh walo se khuda hai keh raha

Markaz e bazme kisa hai fatima

 

Ba e bismillah...

 

Suna bhi hai padha bhi hai

Kitabo me likha hai ye

Aqeedat me teri chadar

Nabuwat ki dawa hai ye

Odhte hai isliye sarwar ise

Teri chadar me shifa hai fatima

 

Ba e bismillah...

 

Wo dafnate the zinda hi

Samajh ke betiya zehmat

Teri aamad ne batlaya

Ke hai ye betiya rehmat

Dahr me har ek beti ka martaba

Tere aane se mila hai fatima

 

Ba e bismillah...

 

Kahi tareekh batil ko 

Kiya taskeer zahra ne

Khuda ke deen ko qaisar

Diya shabbir zehra ne

Murtuza nabiyo ka hai mushkil kusha

Deen ki mushkil kusha hai fatima

 

Ba e bismillah.


No comments:

Post a Comment