Friday, March 18, 2022

Jo bayan karne laga hoon dosto

 Jo bayaan karne laga hoon dosto

Aaj ka mera bayaan Hussain hai (x2)


Jo Khuda hai mehrbaan Jahaan ka

Uss Khuda mehrbaan Hussain hai


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan Hussain hai


Yeh do mehman aise hai 

Bada rutba hai dono ka

Nabi arshe moalla par 

Khuda kar woh bala pahooncha 

Mustafa ka mezbaan tha kibriya 

Kibriya ka mezbaan Hussain hai


Jo bayaan karne laga hoon dosto 


Ali ka laal jo kehta hai woh tum baat likh daalo 

Isse ek bhi na dena tha magar ab saath likh daalo 

Ab talak iski hamari baat thi

Haan magar ab darmiyaan Hussain hai


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan 


Namaaz e ishq padte hai baraf baari ho sardi ho,

Yeh maatam khul ke karte hai bhale kitni bhi garmi ho,

Maatami par mausamo ka kya aser 

Maatami ka sahebaan Hussain hai. 


Yehi ehsaan hai hum par Ali ke laadle bête

Mili humko azadaari dua e Saniye Zehra 

Ab toh kaaba Mehdi e tora talak 

Bas humara Baadshah Hussain hai. 


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan Hussain hai


Diya hai baalon par Sheh ne 

Kaha Uth ker yeh Fitrus

Bas takabbur usko zaib deta hai 

Hota jis pe mehrbaan Hussain hai. 


Jo bayaan karne laga hoon dosto 

Aaj ka mera bayaan Hussain hai

No comments:

Post a Comment